Tuesday, 2 August 2011

hindi mein sher-o-shayari

Dil ki sunun ki dimag ki
dono paagal hain yeh itfak nahi

pyar mein jab is dil ne dhoka khaya
toh dil ne fuslaya "ki yeh toh bacha hai ji"
aur dimag ne samjhaya "ki yeh toh kacha hai ji...kisi pe bhi fisalta hai kyunki"

dil ki awaz mein thi woh gehrai
na samajh me aaya thi ki nadani thi dikhayi

jab dimaag ki baat par gaur farmaya
tab neend khuli aur hosh aaya

ki yeh duniya badi matlabi hai
sab karte yahan par gandagi hain

is duniya mein rehna hai toh dil se nahi dimag se kaam lo...
dil humesha toot tha hai aur dimag hamesha sambhalta hai.

No comments: