tanhai gham deti hai,
aisa logon se suna hai.
tanha hain hum ab tak,
gham ke baare mein ab bhi sirf suna hai.
kahaniyon mein padha hai,
ke pyaar kiya nahi ho jaata hai,
aaj-kal to samayrekha tay hai,
vilambh hua to nishaana badal jaata hai.
saathi ke khoj mein,
bhatakte hain log dar dar,
haasil karne waalon ki durdasha ko dekh,
kaanpta hoon main thar thar.
baaton mein mithas chidkein,
aur chehre par nakaab pehen lete hain.
ek doosre ko samajhna to door ki baat,
svayam apna vyaktitva bhoola dete hain.
zulfon, hothon aur nigahon mein kho kar,
saat janmon ka vaada karte hain.
punar janam aatma leti hai,
roop nahi,yah sathya magar bhool jaya karte hain.
chathri jaise rishton ka kya,
jo barsaat ke saath goom ho jaaye.
rishte hon to kalaai ke us dhaage ke samaan,
jo tootne par bhi nishaan chod jaaye.
na hum chaahe barsaat mein saath,
na humein kalaayiyon mein nishaan chahiye.
hum thaamna chaahein unka haath,
jinka saath humein umr bhar chahiye.
apni tamannaon ko bhool,
jaane tyaag mein vo kaisa sukh paayein.
ek aur mahatyaag unhe tab karna pade,
jab apne bachchon ki shaadi unke liye khabar banke aaye.
bhagode premiyon ka kya,
unhe bahaa le jaa rahi pyaar ki kashti hai.
bhugatthe to unke maata-pita hain,
jinke izzat ki uththi arthi hain
No comments:
Post a Comment